Hazoor S.A.W.W se sawaal kya gya k zamana e ghaibat e Mehdi AS men Mehdi AS k wajood ka kya faida hai to Hazoor S.A.W.W ne farmaya “is zaat ki qasam jis ne mujhey Nabuwat k saath mab’oos kya loge is ki qayadat aur paishwaae k noor se is tarah faida uthaaen gay jis tarah wo baadlon ki oat men chupay sooraj se mustafeed hotey hen”(Sfha 31 Falsafaey ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi))
Hazrat Ali AS ne farmaya “Zameen kabhi bhi daleel o hujjat k saath qayaam karney waaley k wajud se khali nahi rehti chahey wo qaaim zaahir aur aashkaar ho ya makhfi aur pinhaan ho taakey Khudawand Aalam ki daleelen aur roshan dastaweezaat zaaya na hojaen aur bhula na di jaaen. (Sfha 36 Falsafaey ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq(Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi))
Shekh Suduq ne farmaya: Musalman Aap S.A.W.W ki shariat k banaao singhaar k chakkar men hen. Aap S.A.W.W k deen ki taraash kharaash men mashghool hen . Unhon ne is par is qadar barg o gul ka izaafa kar dia hai k agar Aap S.A.W.W bhi is ko daikhen to pehchaan na saken gey. (Sfha 37 Falsafaey ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq(Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi))
Shekh Sudooq ne farmaya: Jo shaks kisi haraam ko halaal aur halal ko haraam qarar de ya kisi sunnat ko badal de ya kisi waajib ko kam kardey ya kisi shar’i hukm ko badal de ya koi biddat ijaad karey k is k zariay is ki pairvi ki jaaey aur logon k rukh is taraf moar de to is ne apney aap ko Khuda ka shareek qarar dya hai. Aur jis ne aisay shaks ki ataat ki yaqeenan is ne Allah k ilawa aik aur Parwardigaar honey ka daawa kar dya. Aur wo Khuda k ghazab ka mustahiq tehra aur is ka thikaana aag hai aur zaalimon ki manzil aur thikaana buhat hi bura hai. Is k aamaal zaaya kiay gaey aur aakhirat men wo nuqsaan uthaney waalon men se hoga aur darood ho Muhammad S.A.W.W aur Aap ki paakeeza Aal S.A par.(Sfha 51 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Jo shaks apney bhai ki ghair mojudgi men dua karey to aasmaan se aik farishta usey nida daita hai k tairay liay bhi is ki misl hogi.(Sfha 69 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Imam Sadiq AS ne irshaad farmaya: Hmarey aakhir (Imam Mehdi AS) ka munkir aisa hai jaisa wo hamarey awwal (Hazoor S.A.W.W) ka munkir ho (Sfha 76-77 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Shekh Suduq ne farmaya: Hazrat Moosa AS k wasi Yushaa bin Noon ka Hazrat Moosa AS ki bivi se jo waaqiaa hua wohi Ameerul Momineen AS ka Aesha bintey Abu Bakr se hua. (Sfha 97 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Qasam hai us zaat ki jis ne mujhey huq k saath bishaarat karney waala bana kar bheja hai yaqeenan merey farzandon men se Imam Qaaim meri jaanib se aik ahead ki binaa par ghaaib ho jaaega yahan tak k loge ye kahen gey k Allah ko AAL e Muhammad se kya kaam hai aur kuch doosrey un ki wiladat k mutaaliq shak Karen gay. Pas jo shaks un k zamaney men puhanchey to isey chahiye k wo apney deen ka daaman thaamey rakhay aur apney shak ki bina par shaitan k liay koi raasta na qarar dey. Nahi to wo is ko meri millat se hata daiga aur mairey deen se khaarij kardaiga.(Sfha 106 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazrat Ali AS ne farmaya: Qaaim ki ghaibat itni taweel ho jaaegi k jaahil kehnay lagen gay k Allah Taala ko aal e Muhammad ki zaroorat nahi hai.(Sfha 156 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazrat Ali AS ne Koofa men khutba daitey huay farmaya: Aey Allah laazim hai k Tairi Zameen Tairi Hujjat se khaali na rahey. Jo logon ko Tairey deen ki taraf hidayat karey aur Tairey deen ki taaleem dey taakey teri hujjat baatil na ho aur teray aolia ki itebaa karney waaley hidayat k baad gumraah na hon. Chahaey ye hujjat zaahir ho jis ki ataat na ki jaa rahi ho ya posheeda ho aur dushman is ki taak men ho to khud logon ki nazar se posheeda ho jab k loge hidayat yaafta hon aur is ka ilm aur ahkaam momineen k dilon men saabit hon jis par wo amal karen (Sfha 157 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazrat Ali AS ne farmaya: (Ghibat Imam men loge) Imam ko is tarah talash Karen gay jis tarah apney raiva’r k liay achi charagaah talash kartey hen aur (usey) nahi paatey.(Sfha 157 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazrat Ali AS ne farmaya: Hamara Qaaim jab qayaam karega to is ki garden men kisi ki bayat nahi hogi. Isi liay Allah ne is ki wiladat ko makhfi aur is shaksiyat (wajud) ko ghaaib rakha (Sfha 157 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazrat ALI AS ne farmaya: Qasam hai us zaat ki jis ne Muhammad S.A.W.W nabuwat k saath mab’oos kya aur tamam khulq men Mustafa kya. Wo (Imam Qaaim) qayaam karega magar aik taweel ghaibat k baad. Sirf wo loge apney deen par saabit qadam rahen gay jo mukhlis hon gay aur deen ki doalat se maaldaar hon. In logon ne hamari wilayat ka ahad lya hai aur Allah ne in k dilon ko imaan se munawwar kya hai neez apni rehmat se in ki madad ki.(Sfha 158 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazrat ALI AS ne farmaya: Aey garoh e shia men daikh raha hun k tum loge oont ki tarah bilbilatey phir rahey ho k tumhen charagaah mil jaey liken tum us ko paa nahi rahey.(Sfha 158 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazrat ALI AS ne farmaya: Har saal shab e qadar aati hai aur isi raat ahkaam e sunnat naazil hotey hen aur ye ahkaam Rasul Allah S.A.W.W k baad in k Auliya par naazil hotey hen. Wo Auliya men aur mairay baad mairay sulb se 11 aaima muhadiseen jo Rasul Allah S.A.W.W se naqal karney waaley hen (Sfha 158 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Hazrat ALI AS ne farmaya: Wo Mehdi hoga jo dunya ko Adl o Insaaf se is tarah bhar daiga jis tarah wo zulm o joar se bhar chuki hogi. Is k liay hairat aur ghaibat hogi. (Hairat aur ghaibat bhi) aisi k Aksar qoamen gumrah ho jaaengi (sirf) aik qoam hidayat paaegi. Wohi loge behtareen loge hongay. (Sfha 159 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par likhi gae))
Imam Hassan AS ne farmaya: Hum ahlebait men se har aik ki garden men apney zamaney k taaghoot k saath maslihat ka toaq hoga. Siwaey hamarey Qaaim k jo Roohullah Issa ibn e Maryam ko namaz parhaey ga. Allah is ki wiladat ko makhfi rakhey ga aur is par ghaibat ka parda daal daiga taakey jab wo kharooj karey to is ki garden par kisi ki bayat na ho. Wo mairay bhai Hussain ki aulaad men se nawan imam hoga. Ye is waja se hai k Allah har cheez par Qaadir hai. (Sfha 170 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq
Imam Hussain AS ne farmaya: Agar dunya k ikhtataam men aik din reh jaaey to Allah is ko itna taweel kar daiga k is men meri aulaad men se aik fard zaahir hoga jo dunya ko adl o insaaf se is tarah bhar daiga jis tarah wo zulm o joar se bhari hui hogi aur aisa men Rasul Allah S.A.W.W se suna hai. (Sfha 172 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq
Imam Zain ul Abideen AS: Hamarey Qaaim k liay Anbiya AS ki sunnaton men se Hazrat Aadam, Nooh, Ibraaheem, Moosa, Issa, Ayub aur Hazrat Muhammad S.A.W.W ki sunnat hai. Adam o Nooh ki sunnat taweel umer, Hazrat Ibraheem ki sunnat wiladat ka makhfi aur posheeda hona aur Khuda k deen ki himayat men logon se alag thalag rehna, Hazrat Moosa ki sunnat khof aur ghaibat, Hazrat Issa ki sunnat k logon ne in k baarey men Ikhtilaf kya, Hazrat Ayub ki sunnat k balaaon aur museebaton k baad kushaadgi naseeb hogi aur Hazrat Muhammad Mustafa ki sunnat khurooj bil saif hai.(Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq)
Imam Zain ul Abideen AS ne farmaya: Jo shaks ghaibat e Imam men hamari wilayat par imaan rakh kar saabit qadam rahay ga Allah is ko shuhada-e-Badr o Uhad k martabay k aik hazaar shuhadaa ka sawaab ataa farmaaey ga(Sfha 174 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi))
Imam Zain ul Abideen AS ne farmaya: Allah ka deen naaqis aqal se, baatil raaey se aur faasid khayalaat se haasil nahi hota. Balkay ye tasleem se haasil hota hai. Pas jis ne hamen tasleem kya is k liay salaamti hai, jis ne hamari pairvi ki is k liay hidayat hai aur jis ne qayaas aur raaey se kaam lya wo halaak hua aur jis ne hamarey qoal aur hamarey faislay par apnay nafs men tangi mehsoos ki is ne Quran naazil karney waali zaat ka inkaar kya. (Sfha 174 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq)
Imam Baqir AS ne farmaya: Jab arsa e ghaibat taweel ho jaey ga to loge kehnay lagen gay k Qaaim mar gaey ya halaak hogaey hen. Aur ye is sabab se kahen gay k masaaib o aalaam shaded ho jaaen gay. Aur un ka dushman kahey ga k aisa kab hoga ab to in ki hadyaan bhi boseeda ho chuki hon gi. Aisey men tum loge Is k zahoor ki umeed men raho. Pas is waqt jab tum (aisa) suno to imaan par saabit qadam rehna chahiye kaisi hi dushwaari kyun na ho. (Sfha 176 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq)
Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya: Logon par aik aisa zamana bhi aaey ga jab in ka imam un ki nazron se ghaaib ho jaey ga. Pas toobaa hai un logon k liay jo is zamaney men bhi hamarey hukm par saabit qadam rahen gay. In logon k muqarar kiay jaaney waaley sawaab men adnaa tareen sawaab ye hai k Allah in logon ko nida de ga k aey mairay banday tum meray raaz par imaan laaey aur meri ghaibat ki tasdeeq ki pas tumhen bishaarat ho k tumhara sabr meray zimay hai. Tumhari bandage ko men ne qabool kya, tumharey gunaahon ko maaf kya aur tumhaari maghfirat ki. Tumharey baaes men logon ko baadlon se sairaab karta hun. Agar tum na hotey to men in logon par zaroor azaab naazil karta.(Sfha 176 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq)
Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya: (Ghaibat k zamaaney men Momin ka behtareen amal ye hai k) Wo apni zabaan ki hifaazat karey aur ghar men rahey (Sfha 176 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq)
Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya: Hamarey Qaaim ki Allah apni madad aur roab k zariye nusrat karey ga. Is k liay zameen k faaslay simat jaaen gay aur khazaney zaahir ho jaaen gay. Is ki saltanat mashriq o maghrib men pheli hogi. Is k zariye Allah apney deen ko tamam adyaan par ghaalib kar daiga agarchey mushriqeen ko ye baat kitni hi naagawaar kyun na guzrey. Zameen par har shay apni durust haalat men aa jaaey gi. Roohullah Issa Ibn e Maryam naazil hon gay aur Imam Qaaim k peechay namaaz parhen gay.(Sfha 177 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq)
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Agar koi shaks tamam Aaema ka iqraar karey aur Mehdi ka inkaar karey to wo aisay hay jaisay is ne tamam Anbiyaa ka iqraar kya aur Hazrat Muhammad S.A.W.W ki nabuwat ka inkaar kya. (Sfha 179 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq)
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Agar koi shaks is haalat men marey k wo Imam e Zamana ki aamad ka muntazir ho to is ka martaba aisa hai jaisay wo is imam k saath in k khaimay men qayaam pazeer tha. Ye hi nahi balkay is ne Rasul Allah S.A.W.W k saath in ki himayat men talwaar se jihad kiya ---Sfha 180 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Sura Baqra ki ayat “ye wo kitab hai jis men shak nahi mutaqqi logon k liay hidayat hai aur jo loge ghaib par imaan rakhtay hen” men mutaqqiyon se muraad Hazrat Ali k shia hen aur ghaib se muraad Imam ghaib hen aur is ki dalel Sura Yunas ki ayat hai “aur kyun na utri is par aik nishaani is k Rab se to keh do k ghaib ki baat Allah hi jaaney so muntazir raho. Mein bhi tumharey saath intezaar krta hun”(Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq tarjuma Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS Sfha 182)
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: is waqt tum kaisay zindagi guzaro gay jab tum apney Imam ko nahi daikh sakogay aur na hi in ka pata paa sako gay. Aur is se nijaat sirf un logon ko milay gi jo duay e ghareeq parhen gay. Jab aisa waqt aaey to deen par saabit qadam rehna yahan tak k amar tumharey liay waazey ho jaaey.(Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq tarjuma Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS Sfha 184)
Duaaey Ghareeq : “YA ALLAH YA REHMAANO YA RAHEEMO YA MUQQALIBAL QULOOBAY SABBIT QALBI ALAA DEENIK” .(Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq tarjuma Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS Sfha 184)
Imam Moosa Kazim AS ne farmaya: Saahib e Amr k baarey men loge kahen gay k wo paida hi nahi huay.( Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq tarjuma Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS Sfha 187)
Imam Moosa Kazim AS ne farmaya: Sura Mulk ki ayat 30“ Dekho to agar subah ko tumhara paani khusk ho jaey phir kon hai jo laaey tumharey paas nithra hua paani?” ki tafseer ye hai k jab tumhara Imam ghaaib ho jaey ga to is ko dekh na paaogay phir kya karogay?(Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi) tarjuma Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS Sfha 187)
Imam Moosa Kazim AS ne farmaya: Mein zaroor qaaim bilhuq hun leken wo qaaim jo zameen ko Khuda k dushmanon se paak karey ga aur adal o insaaf se is tarah bhar daiga jis tarah wo zulm o joar se bhari hogi wo meri aulaad men se paanchwaan hai. Is k liay ghaibat hai jo itni taweel hogi k kai qoamen barbaad ho jaaen gi. Phir hamarey shia k liay toobaa hai jo hamarey qaaim ki ghaibat men hum se munsalik rahen gay aur hamari wilayat par saabit qadam rahen aur hamarey dushmanon se baizaar rahen. Wo hum se hen aur hum in se. In se aaimaa raazi aur wo aaimaa se raazi (Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi) tarjuma Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS Sfha 188)
Imam Moosa Kazim AS ne Sura Luqmaan ayat 20 “aur poori kardeen tum par naimaten khuli hui aur chupi hui” ki tafseer bayan kartey huay farmaya: Neamat e zaahira se muraad Imam zaahir aur nemat e baatina se murad Imam e ghaaib hen.( Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi) tarjuma Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS Sfha 188)
Imam Moosa Kazim AS ne farmaya: Wo (Imam Qaaim) khud logon ki nazron se ghaaib rahey ga magar is ka zikr momineen k qaloob men rahey ga. Wo hum men se baarhwaan hai. Allah is k liay har mushkil ko aasaan aur har sakhti ko sehal kar daiga. Is k liay zameen k khazaney zaahir hon gay. Har faasla qurbat men badal jaaega. Har jaabir halaak ho jaaega. Is k haathon tamam shayaateen halaak ho jaaen gay. Sfha 189 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Ali Raza AS ne farmaya: Meray is farzand (Imam e Qaaim) ka naam meray jad k naam par hoga. Wo meray aur Moosa bin Imran ki shabeeh hoga. Is k liay Allah noor qarar daiga jis se tamam aalam munawwar hoga. Is k liay ahl e zameen ghamzada hon gay. Is ki ghaybat par momineen o mominaat ghamgeen o hairaan hon gay yahan tak k (is ki aamad ki) nida aae gi jo door aur qareeb har taraf sunae day gi. (ye nida) mominon k liay rehmat aur kaafiron k liay azaab hogi.(Sfha 191 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Ali Raza AS ne farmaya: Qaaim wo hoga k jis ki umer to buzurgon waali hogi magar wo jawaan nazar aaega. Taaqat e jismaani aisi hogi k agar wo chahey to barey se barey darakhton ko haath se jar samait ukhaar phainkay aur paharon ko hamwaar kar day. Is k paas Hazrat Moosa ka asaa aur Hazrat Sulemaan ki anghooti hogi. Wo meri aulaad men chotha (4) fard hoga. Allah is par ghaybat ka parda daal daiga aur phir isey zaahir karega to wo zameen ko adl o insaaf se is tarah bhar daiga jis tarah wo zulm o joar se bhar chuki hogi (Sfha 192 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi))
Imam Muhammad Taqi AS ne farmaya: Qaaim hum men se hoga wo Mehdi hoga. Jis ki ghaybat men us ka intezaar aur us k zahoor men us ki ataat waajib hogi. (ghaybat e imam men) hamarey shiyon ka behtareen amal intezaar e zahoor e imam hai (Sfha 193 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Muhammad Taqi AS ne farmaya: Qaim ka naam aur kuniyat Rasul Allah ka naam aur kuniyat hon gay.is k liay zameen k faaslay simat jaengay. Har sakhti aur mushkil us k liay aasaan ho jaegi. Is k ashaab ki taadaad ahl e badar k mutabiq yaani 313 ho gi aur yehi irshad e Parwardigaar hai ‘Jahan kaheen bhi tum hogay Allah tum ko ikhata kar laey ga. Beshak Allah har cheez par Qaadir hai. Pas ye ahl e ikhlaas jama ho jaen gay to Allah apney hukm ko zaahir karey ga aur jab 10 hazaar ka lashkar tayyar ho jaey ga to wo Allah k hukm se kharooj karey ga aur is waqt tak Allah k dushmanon ko qatal karey ga jab tak Allah raazi na ho jaey(Sfha 194 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Muhammad Taqi AS ne farmaya: unhen (Mehdi ko) qaaim is liay kaha jaata hai k wo is waqt qayaam karey ga jab is ka zikr mit chukka hoga aur is ki imamat k maan’nay waalon ki aksariyat apnay mazhab se door ho chuki hogi. Use muntazir is liay kehtay hen k is ki ghaybat ki muddat taweel hogi aur mukhlis loge is k kharooj ka intezaar Karen gay. Shaki loge is ka inkaar Karen gay. Munkireen mazaaq uraen gay aur jhutlaen gay. Ujlat pasand loge is maamlay men halaak hon gay aur saabit qadam nijaat paean gay.(Sfha 194 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Ali Naqi AS ne farmaya: Amar ka sahib (Imam e Qaim) wo hoga jis k baarey men loge kahen gay k wo (abhi) paida hi nahi hua.(Sfha 198 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Ali Naqi AS ne farmaya: Ayaam (dinon) se muraad hum hen. Hamarey zariay aasmaan aur zameen qaaim hen. Pas Sabbat(hafta) Rasul Akram hen, Ahad (itwaar) Ali Ibn e Abi Talib hen, Asnain (peer) Imam Hassan Hussain hen, Salsaa (mangal) Zainul Abideen, Baqir aur Jaffer hen, Arbaa (budh) Moosa , Ali Raza, Muhammad Taqi aur Mein hoon. Khamees (Jumiraat) mera baita Hassan Askari hai aur Jumma meray baitay ka farzand hai jis k paas ahle haq jama hon gay.(Sfha 200 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Hassan Askari AS ne farmaya: Aadam ki khilqat se le kar qayamat tak Khuda zameen ko apni hujjat se khali nahi chorey ga. Inhi k zariay balaaon ko ahle zameen se taal daiga. Inhi k tufail baarish hoti hai aur inhi ki barkat se zameen apney khazaney zahir karti hai. (Sfha 202 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Hassan Askari AS ne farmaya: Is (Imam e Qaim) ki misaal is ummat men Khizar A.S aur Zulqarnain ki si hai. Khuda ki qasam Allah is ko ghaaib farmaey ga aur is ki ghaybat men halakat se sirf wo loge nijaat paean gay jo aqeeda e imamat par saabit qadam rahen gay aur is k zahoor men taajeel ki duaen Karen gay. (Sfha 202 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Hassan Askari AS ne farmaya: is (Imam e Qaim) ki ghaybat itni taweel hogi k imamat k qaaeleen ki aksaryat murtad ho jaegai.sirf wo loge apney qoal par sabit qadam rahen gay jin se Allah ne hamari wilayat ka ahad lya hai. Jin k dilon par imaan likh dya aur jin ki apni rehmat se madad ki (Sfha 202 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Jaffer Sadiq A.S ne farmaya: Allah aur is ki makhlooq k darmayan Imam raabta hota hai. Pas jis ne Imam ko pahchana wo momin hai aur jis ne is ka inkaar kya wo kaafir.(Sfha 206 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Muhammad Baqir AS ne farmaya: koi shaks agr is haalat men mar jaey k us ka koi imam na ho to wo jahiliyat ki moat mara aur insanon k liay maarfat e imam k silsilay men koi uzr qabool nahi hoga Sfha 206 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Agar koi shaks agr is haalat men mar jaey k us ka koi imam na ho to wo jahiliyat,kufr,shirk aur zalalat ki moat mara (Sfha 206 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Jis ne zamana e ghaybat men Mairay farzand Qaim ka inkaar kya aur wo mar gaya to us ki moat jahiliyat ki moat hai (Sfha 206 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Aey Ali tum aur tumhari aulad men jo tumharey baad aaema hon gay wo kahlq par Allah ki hujjat aur us ki makhlooq men Allah ki nishaniyan hon gay.Jis ne tum men se kisi aik ka bhi inkar kya goya us ne mera inkar kya. Jis ne tum men se kisi aik ki bhi nafarmani ki goya us ne meri nafarmani ki.(Sfha 206 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Hazoor S.A.W.W ne farmaya: Ali aur us k baad aaney waaley aaema par kisi aik par bhi jafa mujh par jafa hai, jis ne in se taaluq rakha us ne mujh se taaluq rakha,jis ne in ki ataat ki us ne meri ataat ki,jis ne in logon se muhabbat ki us ne mujh se muhabbat ki. Jis ne in se dushmani rakhi us ne mujh se dushmani rakhi kyun k ye mujh se hen, ye sab meri teenat se khalq huay hen aur men in se hoon. .(Sfha 206 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Naaib e Imam e Zamana:
Shekh Suduq: Aap (Imam e Qaim AS) k waqeel (naaib) Usman bin Saeed R.A thay. Usman bin Saeed R.A ne Inteqaal k waqt apnay farzand Abu Jaffer bin Usman R.A k liay wasiyat ki, Abu Jaffer R.A ne Abul Qasim Hussain Ibn e Rooh R.A k liay wasiyat ki, Hussain Ibn e Rooh R.A ne Ali bin Muhammad Sumri R.A k liay wasiyat ki. Jab Sumri R.A ka akhri waqt aaya to in se Imam e Qaim AS k waqeel (naaib) k liay poocha gya. Sumri R.A ne kaha ab ye amar Allah k paas hai.Pas Sumri R.A k baad Ghaybat e Kubra ka aaghaaz hua (Sfha 209 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam e Zamana AS ne farmaya: Zahoor k waqt ka ilm sirf Allah ko hai. Jo apnay paas se ghartay hen wo jhootay hen Sfha 215 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam e Zamana AS ne farmaya: Masaail e Shariya men hamari ahadees k raaviyon (riwayat karney walon) se Rujoo karo. Wo tum par hamari hujjat hen aur Men in par hujjat hoon.(Shekh Sudooq ne is kitab men tamam raaviyon ka zikr tafseel se kya hai Jin men 4 to Naaib e Imam hen aur baaqi wo jin se Imam e Qaim AS ne mulaqaat ki aur jinhon ne aagay riwayat bayan ki, Zaroori hai k in k deeni ahkamat ki taeed ki jaey) (Sfha 216 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi))
Imam Jaffer Sadiq AS ne farmaya: Tum men se jo shaks Imam e Qaim ka intezar kartay huay marey ga is ka martaba aisa hai jaisay koi shaks Imam e Qaim k saath khaimay men muqeem ho.(Sfha 241 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi)
Imam Baqir AS ne farmaya: Agar tum men se koi ye khuwahish rakhay k agar men Imam e Qaim ka zamana paaoon ga to un ki nusrat karoon ga (aur wo mar jaey) to wo us shaks ki maanind hai jo un ki hamrahi men talwar chalaey. Ye hi nahi balkay in k hamraah shahdat paaey (Sfha 241 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi))
Imam Ali Raza AS ne farmaya: Imam e Qaim k zahoor k liay (Sura Aaraaf Ayat 17 men) Allah Taala ka irshad hai “Muntazir raho Mein bhi tumharey saath muntazir hoon”(Sfha 241 Falsafaey Ghaibat e Mehdi AS tarjuma Kamal u din Wa Tamam un Neamaa Shekh Sudooq (Ye kitab Imam e Zamana AS k hukm par Shekh Suduq ne likhi))
Masha Allah
ReplyDelete